Testing
313 As-Haab e Badar ki Shaan(17 Ramzan)
??????????????????????????????
?Nihattey be saro saamaan, bhooke aur thakey-haare
Ke mil kar teen sau tera(313) jawaan-o Pir thay saare
?Ye Laskhar saari dunya se anokha tha nirala tha
Ke Is lashkar ka Afsar Ek Kaali Kamli Wala(SAW) tha
?Safain baandhey khadey thay saamne Eamaan waaley bhi
Khuda waale Muhammad(SAW) Waale bhi, Quran waale bhi
?Agar che Arsh paima himmat Mardana thi in ki
Faqeeraana tha maslak waz’a Darweshaana thi in ki
?Thay in ke paas do(2) ghode che(6) zarhain aat(8) shamsheerain
Palatne aaye thay ye log dunya bhar ki taqdeerain
?Na Teg o teer par takiya na khanjar par na bhaaley par
Bharosa tha toh Ek Saada si Kaali Kamli Waale(SAW) par
?Na Masjid mein na Baitullah-ki Deewaaron ke Saaye mein
Namaz-e Ishq Adaa hoti hai talwaaron ke saaye mein
(By: Hafeez Jalandhari)
??????????????????????????????